Sapne ya Manjil
bachpan me bdi baat na kr paaye ab jwani me bacho wali baat nai kar sakte aise fansla kyon hai peediyon k darmiyan k jo dil chahe uska izhar nai kar sakte
har subha uthte hi kuch karne ki chahat leke bas daudta hu din bhar ,per laut ta hu aahat leke
thak haar k raato me fir taare main ginta hu kya hua ye kyon hu fir sapne bunta hu,
tha wo waqt bhla ,jab ginte the taare bas asmaan chhanne k liye ab ginte hain taare is waqt ko kaatne k liye
hai wahi din , wahi raat bas badle hain to halaat dil wahi , soch wahi bas badle hain to jazbaat. shayad meri tarah besahara na koi hoga tanha ja raha raaho pe raahi aisa na koi hoga
manjil to kahte hain sab per manjil kya hoti hai dault to chahte hain sa to khwaish kya hoti hai
aaj waqt nikal ke mann khud me khona chahta hai diye dard jin hatho se aaj khud me rona chahta hai
chhod diya ab rona dhona ab na main himmat chhodunga khwaishe krunga puri mainsapno se naata todunga
dosto nahi hai zindgi sapno ki ye jaan lo karm krte jayo ,bas karm ko sab kuch maan lo
sapne ,kahaiya chhod k bas kuch krne ki mann me than lo
(Mann Thakur)
No comments:
Post a Comment