Gulaab
Gulaab
hai to ye ek phool gahre rang ka
kisi ka hai naata ye kisi se umang ka
mayne hai alag alag is dunia me yaaro
fark padta hai to bas dekhne ke dhang ka
ye phool nahi afsana hai
ashiqo ka gujra hua zmana hai
dete the mahoob ko manane ki khatir
ya kisi ko apna bnane k khatir
gwah hai ye pahli mulakato ka
pyar me guzare har din har raato ka
lamha hai bighi huyi un barsato ka
mile the jo bhige huye bhige se jazbaato ka
nishani ye mahoob ki kisi dairy me rakhi huyi
zindgani kisi ashiq ki izahar pe tangi huyi
ab bhi hai yaad mujhe wo pahli baar
jab deke gulab maine usko kiya izhar
todke usne nafrt se chahe kiya inkar
patiya patiya utha ke maine smjha tha pyar
aaj wahi dairy jab kabhi kholta hu
jeeta hu fir lmha wo muskura ke yaar
(Mann Thakur)
No comments:
Post a Comment